Best Lines For Dad In Hindi | Father’s Day Quotes In Hindi

“Best lines for dad in hindi” is father’s Day ke liye Rutha Aashiq ne apne collection me se banaaya hai. Is sabhi shabdo me bache papa ka pyaar jhalakta hai toh kuch shabdo me papa kehte hai bada naame karega wali feelings bhi najar aa rahi hai.

Har rishta kai rang se guzarta hai. Har samay ye rishte kabhi apne aap ko fanaah karte hai toh kabhi naraaz hokar bhi man hi man unke saath jude rehte hain. “Fathers Day quotes in Hindi” me bachpan me father-son love ke liye Rutha Aashiq ne kuch shabd likhein hain. Bade hote hote uss me bani naraazgi me bhi gehre jazbaat ki baatein baap-bete ke din par collection banakar sajaaya hai.

Best Lines For Dad In Hindi

Shuru me humne sabko achi lage aisi “Best lines for Dad in Hindi” pesh ki hai. Kuch achi shayari ke baad har Baap-beti ke Shabdo ko sajaaye hai. Kehte hain beta maa ka hota hai aur beti pita ki hoti hai. Ese hi “Fathers Day Quotes from Daughter” ke jazbaat bhi khaaskarke pesh kiye hai.

” ये हर कोई जानता है, जो मेरा नाम जानता है।।
मैं तेरा बेटा हूँ, ये फक्र मेरे नाम के साथ चलता है।।
Yeh har koi jaanta hai, jo mera naam jaanta hai..
main tera beta hoon, ye fakr mere naam ke saath chalta hai…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“पेट के गढ़े और खवाबों का आसमान कितना गहरा है,
ये बाप का कद कितना ऊँचा है- हालात सबसे कह रहा है…
Pet ke gaddhe aur khwaabo ka aasma kitna gehra hai,
Ye baap ka kad kitna uncha hai- haalat sabse keh raha hai..”

Fathers Day Quotes From Daughter

“काबिल बनने की हर वजह तय करनी चाही मैंने,
नाम तेरा होगा, ये बात जबसे जानी मैंने।।।
Kaabil banne ki har wajah tay karni chaahi maine,
naam tera hoga, yeh baat jabse jaani maine…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“गुरूर होता तो एक बारी तोड़ देता,
मेरा वजूद है तू- भला कैसे मिटाऊँ।
Guroor hota toh ek baari tod deta,
mera wajood hai tu- bhalaa kaise mitaau..”

Fathers Day Quotes From Daughter

“नाम और वजूद बस इतना रह जाता है,
इस दुनिया में बाप के बिना सब नाजायज हो जाता है….
Naam aur wajood bas itna reh jaata hai,
iss duniya me baap ke bina sab najaayaz ho jaata hai…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“उस डाँट से भी फक्र हो जाता है,
मेरे ऐब को अगर कोई मेरे बाप जैसा बता जाता है।।
Uss Daant se bhi fakr ho jaata hai,
mere aib ko agar koi mere baap jaisa bataa jaata hai…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“माँ तो खाना खाया की नहीं,ये पूछकर सहलाती रहेगी।।
नंबर सही आये की नहीं, ये तैयारी तो पिता के डर से कर पाया था।।
Maa toh khaana khaaya ki nahi, yeh poochkar sehlaati rahegi..
nuber sahi aaye ki nahi, ye taiyaari toh pita ke dar se kar paaya tha…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“विरासतों में मेरा नाम हो न हो,
मेरी शकल, मेरा रहन सहन…
सब तेरे अंश का वंश बने बैठा है।।
Viraasato me mera naam ho na ho,
meri shakal, mera rehan sehan…
sab tere ansh ka vansh bane baitha hai…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“Best lines for Dad in Hindi” ke iss post me Rutha Aashiq apne bachpan ke emotion ko bataane bachpane ki yaado pe kuch Papa ki shayari bataayi hai. Yeh wo waqt hai jab papa ka naam roshan karne wale TV pe dekh kar aanh bhar aati thi.

Must Read:- Happy International Family Day 2022 Wishes

Fathers Day Quotes In Hindi

Papa kehte huye uss waqt me hume dar bhi lagta tha. Saath hi papa jaisa kehlaane par dil me khumaari bhi aa jaati thi. Maa ko toh aaye din gale laga lete hain, lekin zindagibhar jinke naam hokar jeete hai unke liye “Fathers day quotes in Hindi” bhejkar apne pita ko apni pitrubhakti ke baare me jarur bataaye.

“माँ तो टोकते टोकते थक जाती है,
पिता की आँखे बोल दे, तो बच्चा मुड़कर वो चीज़ नहीं देखती ।।।
Maa toh tokte tokte thak jaati hai,
Pita ki aankhein bol de, toh bachcha mudkar wo cheez nahi dekhti…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“सफाई भी नहीं देता हूँ,
तू इल्जाम लगाये तो,
मैं वो भी दामन में रख लेता हूँ।।
ख्वाईश भी नहीं करता मैं उन सपनों की,
मेरा बाप कहे तो मैं अपने दिल को भी कहने नहीं देता हूँ।।।
Safai bhi nahi deta hoon,
tu iljaam lagaaye toh,
main wo bhi daaman me rakh leta hoon…
khwaish bhi nahi karta main unn sapno ki,
mera baap kahe toh main apne dil ko bhi kehne nahi deta hoon…”

“दो दिन पैसे ज्यादा दिए थे पापा ने,
महीने भर खुशी बटवे में घूम रही थी।।
do din paise jyaada diye the papa ne,
mahine bhar khushi batve me ghoom rahi thi…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“मैं तो सोचता हूँ,
मिठास कैसे आती होगी उन घरों में,
जहाँ पिता मिठाई लाते नहीं होंगे।।
main toh sochta hoon,
Mithaas kaise aati hogi un gharo me,
jahaan pitaa mithaai laate nahi honge…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“कुछ तो अलग बात थी,
पापा के खरीदी हुई चीज़ों में।।
खिलौना भी खुश कर देता था,
तोफों की दुकान में खड़े हुए भी खुशी नहीं हो रही।।
kuch toh alag baat thi,
Papa ke khareedi hui cheezo me…
khilona bhi khush kar deta tha,
tofon ki dukaan me khade huye bhi khushi nahi ho raho …”

“Best lines for dad in Hindi” in sab rang me har kisi ka apne jazbaat ka rang hai. Rutha Aashiq ne kai drashtikon se shabdo ki sajavat ki hai. Agar aapko ye sab shayari pasand ayi ho toh poori post jarur dekhein aur pasandida shayari ko share jarur karein.

Fathers Day Quotes From Daughter

“Fathers day quotes from Daughter” ke bina toh papa ki koi bhi post adhuri hai. Rutha Aashiq ne beti ke sachche jazbaat ko shabd me daalne ki koshish ki hai. Haalaaki in sab baato ko jiya jaata hai, shabd me sab vyakt karna bahut mushkil hai.

“ये बचपना आज भी तो दिल चाहता है,
“मैं हूँ” बस इतना तू कहे, इससे ज्यादा क्या चाहता है।।
Ye bachpana aaja bhi toh dil chaahta hai,
Main hoon bas itna tu kahe, isse jyada kya chaahta hai…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“कूद कूदकर मेरे पैर तेरे लिए आये हैं।।
गली में तेरी आहट आते ही, मेरे दिल को जगाये हैं।।
kud kudkar mere oair tere liye aaye hai…
gali me teri aahat aate hi, mere dil ko jagaaye hain..”

Fathers Day Quotes From Daughter

“लड़की का पहला इंतज़ार,
लड़की का पहला फक्र,
लड़की का पहला प्यार होता है।।
वो जो दिलसे लुटायेगी,
वो उसके बाप से पता लगता है।।
ladki ka pehla intaazaar,
ladki ka pehla fakr,
ladki ka pehla pyaar pyaar hota hai…
wo jo dilse lutaayegi,
wo uske baap se pataa lagta hai…”

“इन ज़ुबान को जताने नहीं आता,
पिता का लिहाज़ बहुत है, इसलिए इसे लुभाना नहीं आता।।
Inn zubaan ko jataane nahi aata,
Pita ka lihaaz bahut hai, isliye isae lubhaana nahi aata….”

Fathers Day Quotes From Daughter

“बिदा होकर भी , तेरी इज्जत मैं कहलाती हूँ।।
इफ़ाज़त करते हुए, तेरे नाम की विरासत मेरी बनाये रखती हूँ।।।
Bidaa hokar bhi, teri ijjat me kehlaati hoon…
Ifaazat karte huye, tere naam ki virasat meri banaaye rakhti hoon…

Fathers Day Quotes From Daughter

“बिखर जाता तेरा नाम, वो मैदान छोड़ दिया,
बनी रहे तेरी गरिमा, इसलिए वो आँगन छोड़ दिया,
कहते है सब, बड़े दूर हो गए है हम,
दिलमें जज़्बात पास रखने, हमनें तेरी खुशी को आज़ाद छोड़ दिया।।
Bikhar jaata tera naam, wo maidaan chod diya,
bani rahe teri garima, isliye wo aangan chod diya,
kehte hai sab, bade door ho gaye hai hum,
dilme jazbaat pass rakhne, humnein teri khushi ko aazaad chod diya…”

“किसी नाम की गरमी नहीं देखते,
हम किसी के दिल की नरमी नहीं देखते,
झुकता है सर बस एक ही वजह पर,
हम हमारे वजूद के सिवा , किसी बाप से नहीं डरते।।
kisi naam ki garmi nahi dekhte,
hum kisi ke dil ki narmi nahi dekhte,
jhukta hai sar bas ek hi wajah par,
hum humaare wajood ke siva, kisi baap se nahi darte…”

“तुझे शिकायत है, माँ जितना प्यार बताता नहीं मैं,
क्या तुझे ये पता है, माँ का नहीं मानता तब तेरा ही सुनता हूँ।।
Tujhe shikayat hai, maa jitna pyaar bataata nahi mai,
kya tujhe ye pata hai, maa ka nahi maanta tab teri hi sunta hoon…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“कभी आँखे फेर ली,
कभी आँखे झुका ली,
ईमान क्या जानोगे इन् आँखों का,
जो कभी उनके सामने उठी नहीं…
Kabhi aankhe fer li,
Kabhi aankhe jhuka li,
Imaan kya jaanoge inn aankho ka,
jo kabhi unke saamne uthi nahi…”

“साथ के यादों में जी लेता मैं,
तुम वो भी झूठा ठहरा गए…
भरोसे के दामन क्या संभालू मैं,
हमारे वजूद पे ही जब सवाल है…
Saath ke yaado me ji leta mai,
tum wo bhi jhootha thehra gaye..
Bharose ke daaman kya sambhaalu mai,
humaare wajood pe hi jab sawaal hai..”

“तेरा भी हूँ..
तुझसे भी हूँ मैं…
काश तेरा भी हो जाता मैं…
टूटा है जहाँ से तू,
काश वही जुड़ जाता मैं…
Tera bhi hoo…
Tujhsa bhi hoo mai…
Kaash tera bhi ho jaata mai…
Toota h jaha se tu,
Kaash wahi jud jaata mai…”

“क्या ही निकालता कोई, तेरी विरासतों से मुझे,
मुझमें रग रग बसा है – खून तेरा ही तो है…
Kya hi nikaalta koi, teri virasto se mujhe,
mujhme rag rag basa hai – khoon tera hi toh hai…”

Fathers Day Quotes From Daughter

“तुझे भरोसा नहीं मुझपर,
लो मैं झूठा करार हो गया…
तूने अपना न माना,
लो मैं यतीम बन गया…
Tujhe Bharosa nahi mujhpar,
lo main jhootha karaar ho gaya…
Tune apna n maana,
lo mai yatim ban gaya…”

“Best lines for dad in Hindi” ki iss post me jaise bachpan se bade hote hote har pyaar ka rang aaj piro liye ho ese lagne laga hai. Umar ke saath khud toh bade ho jaate hai, humaara “fathers day quotes in hindi” bhi jaise waqt ke saath mature ho gaya hai ese lagne laga hai.

Baap-bete aur Baap – beti dono hi alag pyaar hai, fi bhi apne apne jagah me wo kitne khaas hai. Jis mitti me hum paida huye hai, Papa ki pari ho ya papa ka paraa, hum naaraaz bhi ho toh bhi “fathers day quotes in hindi” ke saath jazbaati hona jaruri hai.

Har rang me “fathers day quotes from daughter” se jo bhi relate kar paaye ho, wo mai bhi papa ki pari hoon ye comment jarur karna. Bharat me aaj bhi ye jazbaat kitna taaza hai ye jarur dekhte hain. khud jaise aur bhi jazbaati log duniya me hai aur PAPA ye aaj bhi feeling hai iska ehsaas lete hai.

Spread The Love

Leave a Comment

8 Best Ganpati Quotes In Hindi चंद्रमा की यात्रा: चंद्रयान 3 की सफलता के पीछे के चेहरे Chandrayaan 3 Successful Landing News Live Best Raksha Bandhan Gift Hampers For Sister 4 Best Raksha Bandhan Gift Ideas For Sister