“RIP quotes in Hindi” wale messages bhejte huye man me kai jazbaat aate hain. Rishto ki gehrai humein sankoch me daal deti hai ke dil ka bhaar kaise vyakt karein. Lekin hum insaan hain aur bhaavnao ko jataana bhale aasan ho na ho, jata dene se raaste aasan ho jaate hain.
“Death Quotes in Hindi” me Rutha Aashiq ne apne har vyaktitva ko jo jeete huye, sabke ehsaaso ko lehraaya hai. zindagi ke sach ke saath saath ye kharte huye phoolon me parivartan ka swikaar bhi chipa hai. Esi dukhad samay ke liye shabdo ka saath aur ehsaaso ka saath hi maayne rakhta hai.
Table of Contents
RIP Quotes In Hindi For Mom, Dad, Loved Ones
Ye kami shayad kai zindgibhar rehti hain. “Mother Death Anniversary Quotes in Hindi” me humne ese hi bacho ke jazbaat likhein hain. khaaskar jo kam umar me apni maa kho dete hain, hum in shabdo me unki bhavnao ko pesh kar rahe hai, saath hi dua karte hain ki wo iss samay ko kaant sake.
Mother Death Anniversary Quotes In Hindi
“घर लौटने का भी दिल नहीं करता,
माँ तेरे बिना तो घर भी घर नहीं लगता।।।
Ghar lautne ka bhi dil nahi karta,
Maa tere bina toh ghar bhi ghar nahi lagta..’
Miss You Maa
“तू ज़िंदा रहेगी मेरे मरनेतक मेरे साथ,
माँ बोले बिना तो मैं मर भी नहीं पाउँगा ..”
Tu zinda rahegi mere marnetak mere saath,
“Maa” bole bina toh mai mar bhi nahi paunga..”
Love You Maa
“सेहत को गिनते हुए जी रहे हैं ,
पसंद का गले अब उतरता नहीं।।।
हज़ारों रुपये का खाना खाकर भी,
पेट अब सुकून से भरता नहीं।।।
Sehat ko ginte huye ji rahe hain,
pasand ka gale ab utarta nahi..
Hazaaro rupaye ka khaana khaakar bhi,
Pet ab sukoon se bharta nahi …”
For My Mom on Mother’s Death Anniversary
“ये शायद तेरे नाम का ही जादू है ,
तेरी बरसी के खाने में भी महक अलग लगती है।।।
Yeh shayad tere naam ka jaadu hai,
Teri barsi ke khaane me bhi mehek alag lagti hai..”
माँ की पुण्यतिथि पर माँ को कोटि कोटि प्रणाम ।।
Maa ki punyatithi par maa ko koti koti pranaam ..
“खुद गलत होकर भी नाराज़ हो जाता था,
अब अपना मानकर कोई मनाता नहीं।।।
Khud galat hokar bhi naraaj ho jaata tha,
ab apana maankar koi manaata nahi..”
In memory of “Mother Death Anniversary”
“दस लोग काम कर रहे है मेरे पास,
राजा बेटा अब कोई कहता कहाँ है।।।
Dus log kaam kar rahe hain mere pass,
Raja beta ab koi kehta kahaan hai..”
Bhagwaan jaisi meri maa ko mera salaam…
“ये संस्कार हैं, या मेरे दिल की बनावट,
माँ के नाम से, आज भी अच्छाइयां घर पर आ जाती हैं।।
Yeh sanskaar hai, ye mere dil ki banavat,
Maa ke naam se, aaj bhi achchaiyaa ghar par aa jaati hain..”
Ghar Laxmi jaisi meri maa ko vandan..
“मेरे खयालों में अब भी ये बोल, बोल रहे हैं।।
निवालें मेरी भूख की खैरियत ले रहे हैं।।
तू खयाल रखती है कही से मेरी,
या यादों में तेरी, मैंने आज के ये पल पिरो लिए हैं।।”
Mere khayaalo me ab bhi ye bol, bol rahe hain..
nivaale meri bhuk ki khairiyat le rahe hain..
Tu khayaal rakhti hai kahi se meri,
Ya yaadon me teri, maine aaj ke ye pal piro liye hain…”
“Mother Death Anniversary Quote”
बिखरता हुआ एक एक फूल पेड़ से,
गिरे तो गिरे भगवान के चरणों में, यही दुआ।।
Bikharta hua ek ek phool ped se,
Gire toh gire bhagwaan ke charno me, rahi dua..”
“Mother Death Anniversary Quote in Hindi”
“एक दूर बैठी आवाज सी तू जिंदा थी,
आज पास बैठी यादोंमें तेरी मौत हो चुकी है ।।।
ये सफर नजाने कितनी बार मारेगा और,
ये जनाजे मरते हुए- और जीना सीखा गए।।
Ek door baithi aawaaz si tu zinda thi,
aaj pass baithi yaadome teri maut ho chuki hai…
Yeh safar najaane kitni baar maarega aur,
Yeh janaaje marte huye – aur jeena sikha gaye..”
Miss You Mom
“Mother Death Anniversary quotes in hindi” ke inn shabdo me har maa ko salaam aur jinki maa hain wo unke saath samay de. Rutha Aashiq kehna chaahta hai, ke 2020 ke bad kai ese mauke dekhe jahaan sabhi ne apne khoya hai. Jab tak saanse hain, humein unki kadar karni chahiye aur jeena chahiye.
Aage Rutha Aashiq aur bhi “RIP quotes in hindi” ko anya rishto ke liye bhi likhein hai. Hum jab ekdusre ke dukh vyakt nahi kar paate, lekin andar kai ehsaas hote hain. Ek lekhak hote huye in jazbaato kehne ke liye humnein aur bhi quotes likhein hain.
Must Read:- Heart Touching Anupama Shayari In Hindi | Anupama Shayari
Father Death Anniversary Quotes In Hindi
“Father Death Anniversary Quotes in Hindi” papa ke saath ke silent lekin gehre rishto ki baat likhi hain. Maa baap ghar me na ho toh bhi unki shakal wahaa dikhti rehti hai. Shayad zindgi bhar apne saaye me unhone jo humein rakha hai uski chaav hamesha rehti hai.
नाम बदल रहा हूँ कागज़ों में भटक भटक कर,
तेरी विरासतों में, तेरा साया अब कौन देगा??
मकान सा हो गया है घर का एक एक कोना,
अब छत का वो एहसास कौन देगा??
Naam badal raha hoon, laagazon me bhatak bhatak kar,
teri viraasaton me, tera saaya ab kaun dega??
Makaan sa ho gaya hai ghar ka ek ek kona,
ab chat ka vo ehsaas kaun dega??
Miss You Papa
“धाक आज भी वही है,
आपकी जगह से गुज़रते हुए,
सावधान आज भी जाते हैं।।।
Dhaak aaj bhi vahi hai,
aapki jagah se guzarte huye,
saavdhaan aaj bhi jaate hain..”
Father Death Anniversary Quotes in Hindi
“साथ और सफर खत्म हो गए हैं ,
यादों में, आदतों में खलते रहेंगे।।
बिछड़े हैं वो साये सर से,
संस्कारो में वो झलकते रहेंगे।
Saath aur safar khatam ho gaye hain,
yaadon me, aadato me khalte rahenge..
bichde hain wo saaye sar se,
sanskaaron me wo jhalakte rahenge..”
Missing you Daddy
“ये साल गुज़रते जा रहे हैं ,
तस्वीर पुरानी होते जा रही है,
लेकिन आप नहीं हो ये खुदसे भी कह नहीं पाते।।।
Yeh saal guzarte ja rahe hain,
Tasveer poorani hote jaa rahi hai,
Lekiin aap nahi ho ye khudse bhi keh nahi paate..”
With me My Special My Pappa
“भगवान के होने का एहसास जैसे होता है,
हर कमरे में आपकी छाँव अब भी बतिया रही है।।।
आपके नाम से ज्यादा , आपके एहसासों से,
हर कोने में कहानी, अब भी दोहरा रही है।।।
Bhagwaan ke hone ka ehsaas jaise hota hai,
Har kamre me aapki chaav ab bhi batiya rahi hai…
aapke naam se jyaada, aapke ehsaaso se,
Har kone me kahaani, ab bhi dohra rahi hai..”
Father Death Anniversary Quotes in Hindi
“वो आवाज़ जिसे बोलना चाहिए था,
उसकी खामोशी बोलती रहती है।।
डूबकर जिया मैं जिसके साथ,
बस वो सिसक उठकर मुझमें जीती रहती है।।
Wo Awaaz jisae bolna chahiye tha,
Uski khaamoshi bolti rehti hai..
Doobkar jiya main jiske saath,
Bas wo sisak uthkar mujhme jeeti rehti hai..
Miss U My Head My Godfather
“ये आँसू खत्म होते गए होंगे,
मगर कदम कदम को तू खलता रहता है।।
लोग कहते हैं तू रहा नहीं,
मेरी नब्ज की झंकार कोई सुनता नहीं।।
Yeh aansu khatam hote gaye honge,
Magar kadam kadam ko tu khalta rehta hai..
Log kehte hain tu raha nahi,
Meri nabj ki jhankaar koi sunta nahi..”
Quote for my Father’s Death Anniversary
“Father Death Anniversary Quotes in Hindi” ke iss collection me aapne mehsoos kiya hoga ki hum apne papa se kitni kam baatein karte hain. Baaki sab rishto me “RIP quotes in Hindi” aap death ke baad bhejenge toh theek hai. Lekin Rutha Aashiq chaahta hai ki aapke papa ke liye aap unke death se pehle unhe apni baat keh sake. Inn quotes ko padhne ke baad aapko lage toh apne rishto me apne jazbaat ko bayaan jarur karein. Shayad har kisi ke pass jeete ji baat karne ka avsar banta nahi hai.
“Death Quotes in Hindi” me aap jaanenge ki hum itne paise kamaane hain, itne bada ghar lena hai, itni badi gaadi leni hai, lakshya rakhte reh jaate hain, lekin fir humein ehsaas hota hai ki zindgi saari cheezo ko samay dene se reh gaye.
Read This Also :- Shayari of Ghalib on Ishq
Rip Quotes In Hindi | Death Quotes In Hindi
एकदूसरे को सलाम करते हुए गुज़रते रहे हैं,
दिल से आखरी सलाम लेते जा।।
जिस ईमानदारी से जी शख्सियत,
दुआ करता हूँ, उस आसमान का सफर भी वैसा हो।।
Ekdusre ko salaam karte huye guzarte rahe hai,
Dil se aakhri salaam lete jaa…
Jis imaandaari se ji shaksiyat,
Dua karta hoon, uss aasmaan ka safar bhi waisa ho..”
RIP quotes in hindi
एक पहचान में, एक मीठी याद में रहेंगे,
दुआओं में, आसमान में कही वो अमीर रहेंगे ,
सफर के इस अंत में, मीठी कहानी की तरह ज़िंदा रहेंगे।।
Ek pehchaan me, ek meethi yaad me rahenge,
Duaon me, aasmaan me kahi vo amir rahenge,
Safar ke iss ant me, Meethi kahaani ki tarah zinda rahenge…
Death Quotes in Hindi
“अनजान ही सही, तेरे लिए साथ जताता हूँ,
तू मेरा है , तेरे दर्द निभाता हूँ।।
मिटेगा नहीं ये वक़्त आसानी से,
कुछ आसानी बनाने को हिस्सेदार मैं बन जाता हूँ
गुज़रते हुए , दोस्तों का हाथ बनकर आता हूँ।।
Anjaan hi sahi, tere liye saath jataata hoon,
Tu mera hai, tere dard nibhaata hoon..
Mitega nahi ye waqt aasaani se,
Kuch aasaani banaane ko hissedaar main ban jaata hoon..”
RIP to pure soul
“तेरे शोक का वजन कोई उठा न पायेगा,
तेरे आँसू में मेरा आँसू भी बहता रहेगा।।
वो मरते हुए ज़िन्दगी से दुआएं लेकर जाये,
हम मरते हुए उसको खुदमें जीते जाये।।
Tere shok ka wajan koi utha na payega,
Tere aansu me mera aansu bhi behta rahega..
wo marte huye zindgi se duaaye lekar jaaye,
Hum marte huye usko khudme jeete jaaye..”
Rest in Peace Special Soul
“बहुत आसानी से विदा कर देते है अरमानों को हम,
एक अरमानों भरा किरदार जबतक विदाई नहीं लेता।।
ये मौत का जादू है या ज़िन्दगी के लिए हम बेपरवाह,
ठोखरों से संभलने मौका हर किसी को नहीं मिलता।।।
Bahut aasani se vidaa kar dete hai armaano ko hum,
Ek armaano bharaa kirdaar jabtak vidaai nahi leta…
Ye maut ka jaadu hai ya zindgi ke liye hum beparwah,
Thokro se sambhalne mauka har kisi ko nahi milta..”
Condolences on this heartfelt loss
“एक ठहराव सा मुझमें तेरे दर्द समेटकर,
एक उड़ान से अरमान तेरे आसमान में भेजकर,
इजाजत की मोहिम लगाता हूँ,
थोड़ा मैं मरता हूँ, और थोड़ा तुझे जीऊंगा – मेरा बनाकार।।।
Ek thehraav sa mujhme tere dard sametkar,
ek udaan se armaan tere aasmaan me bhejkar,
ijajat ki mohim lagaata hoon,
thoda mai marta hoon, aur thoda tujhe jiunga – mera banakar..
A Message of condolences
“ये खबर उड़कर आई है,
मैं अब भी ठहरकर रह गया।।
आँखों का तारा जो था,
वो सितारा बनकर रह गया।।”
Ye khabar udkar aayi hai,
main ab bhi theherkar reh gaya..
aankho ka tara jo tha,
wo sitara bankar reh gaya..”
Missing you Special Star
“निशब्द होकर देख रहा हूँ,
सुकून की कामना करू तो कैसे करूँ।।
तेरे मेरे दर्द को मैं निभा रहा हूँ।।”
Nishabd hokar dekh raha hoon,
Sukoon ki kaamna karu to kaise karu..
Tere mere dard ko mai nibha raha hoon..
Partnering in your pain
“इन आँखों में तेरा चेहरा ,
अब भी हँस रहा है।।
नजाने किस पत्ते पे,
तेरा सफर जा पहुँचा है।।”
Inn aankhon me tera chehra,
Ab bhi hans raha hai..
Najaane kiss pate pe,
tera safar ja pahucha hai..”
To someone in sky
“एक पल में सारी कहानी कानों को लग गई,
तेरी मुस्कान आँखों में अटक कर रह गई,
छूट गई कुछ बातें, कुछ मुलाकातें,
लापता सफर में, तेरे नाम अब सिर्फ दुआयें लग गई।।”
Ek pal me saari kahaani kaano ko lag gayi,
teri muskaan aankhon me atak kar reh gayi,
choot gyi safar me, tere naam ab sirf duaaye lag gayi..”
Heartly Wishes for Free Soul
“तेरे शोक के एहसास पर, कहूँ भी क्या।।
दुआ से बढ़कर, तेरे नाम और करू भी क्या।।
तेरे दर्द में साथी मैं भी हूँ,
एक हिस्सा बांटने के सिवा करू भी क्या।।
Tere shok ke ehsaas par, kahu bhi kya..
Dua se badhkar, tere naam aur karu bhi kya..
tere dard me saathi main bhi hoon,
ek hissa baantne ke siva karu bhi kya..
Heartfelt loss
“दिलके सबसे करीब टुकड़े को बिदा कर चुके है,
हद्द पार इससे ज्यादा करें भी क्या ??
Dilke sabse kareeb tukde ko bida kar chuke hai,
Hadd paar isse jyaada karein bhi kya??
Hearteous Prayers
अरमानों का किस्सा,
अब किस्सा रह गया।।।
एक हिस्सा छोटा,
जिंदगी का हिस्सा न रहा।।।
करवट के साथ क्या करवट लें,
एक लक्ष्य ज़िन्दगी का अब रास्ता भी न रहा।।
Armaano ka kissa,
ab kissa reh gaya..
Ek hissa chota,
Zindgi ka hissa na raha..
karvat ke saath kya karvat le,
ek lakshya zindgi ka ab raasta bhi na raha..”
Condolence for Irreversible Loss
शोक जताना आसान हो न हो,
दो शब्दों से वो आसान जरूर हो जाते हैं।।
किसी की कमी कोई पूरी करे न करे,
अपनी मौजूदगी से वक़्त कांटने आसान हो जाते हैं।।
Shok jataana aasaan ho na ho,
Do shabdo se wo aasaan jarur ho jaate hain..
Kisi ki kami koi poori kare na kare,
apni maujoodgi se waqt kaantne aasaan ho jaate hain..
Short Sympathy Message
” एक दूर बैठी आवाज़ सा ज़िंदा था,
आज पास बैठे यादों में तेरी मौत हो चुकी है।।
ये सफर नजाने कितनी बार मारेगा और,
ये जनाजे हरबार , और जीना सीखा गए।।
Ek door baithi awaaz sa zinda tha,
Aaj pass baithe yaado me teri maut ho chuki hai..
ye safar najaane kitni baar maarega aur,
ye janaaze harbaar , aur jeena sikha gaye..”
Jeena is hi ka naam hao
“चीखती है, चिलाती है वो बातें।।
कहने की ज़ुबान नहीं ये कलम है।।
सुनना नहीं ये दर्द इस हँसती हुई भीड़ को,
इस ही भीड़ में मेरी हँसी कहीं आज अकेले ही रोती है।।”
Cheekti hai, chilaati hai wo baatein..
kehne ki zubaan nahi ye kalam hai..
sunna nahi ye dard iss hansti hui bheed ko,
iss hi bheed me meri hansi kahi aaj akele hi roti hai..”
Treasuring Tears
“दर्द कम क्या हो इस समय में ,
सहते हुए सही, हम दर्द को ही जिएंगे।।।”
Dard kam kya ho iss samay me,
sehte huye sahi, hum dard ko hi jeeyenge..”
Together in times of sorrow
“बेशक हर कोई अकेला मरता है,
मगर जीकर भी, जीवन में,
जीवन मरता है।।”
Beshak har koi akela marta hai,
magar jeekar bhi, jeevan me,
jeevan marta hai..”
Remembering someone in sky
कुछ ज़िक्र अब ऐसे हो गए हैं,
फूलों से सजाया भी हो तो भी महकते नहीं।।।
kuch zikr ab ese ho gaye hain,
phoolon se sajaya bhi ho toh bhi mehekte nahi.
Conclusion
“RIP quotes in hindi” ke iss post me kaafi nostalgic memories man me bhar aa gayi hongi. IN yaadon me kuch baatein aapme aapke sansar aur himmat banengi aur kuch baate kabhi na bharne wali khalish banengi.
Inn jazbaato me doob jaana bhi acha hai aur ek samay me swikaar karne ki sikh bhi de jayega. Ess dukh koi nahi chaahta, lekin jeevan maran sab kudrat ke haath ki baat hai.
Ye “Mother Death Anniversary Quotes in Hindi” me kuch baatein dil me sama gayi hongi. Pehla shabd maa bolte hai aur bade budhe hone tak kuch alg bhi jaaye toh muh se Maa nikal jaata hai. Maa chaahe bida ho jaaye, wo shwaas rahe tab tak dilme basi rehti hai.
Bahut hi dil bharne wale jazbaat ke saath thode se silent rishte ke liye “Father Death Anniversary Quotes in Hindi” me pesh kiye hain. Kisi ke bure waqt me saath nibhaane aur dil halka karne inn jazbaato ko share karne se na hichkichaaye.
Aapke “Death Quotes in Hindi” dekh kar kisi ke din katne me aasaan ho jayenge aur wo zidagi me aage samay ka swikaark kar payenge. Daud ke beech me theherna bhi chahiye aur insaan hi insaan ke kaam aa sakta hai. Apni insaniyat ko ese chote chote message se zinda rakhein.
Must Read:- Happy International Family Day 2022 Wishes