“Chand shayari in hindi for gf” ki apni shayari jab Rutha Aashiq dekh raha tha, badi hi romantic air nostalgic feel kar raha tha. In yaado me poorani shayari me kuch aur naye shabd bhi likhe jo pehle ke jazbaat se kaafi alag hai.
“Chand par shayari” collection me Rutha Aashiq ne apne chanda mama se dosti ki liye bhi jazbaat likhein hain. Bachpan se leke bade hone tak chand ko leke humaari maasomiyat me jo badlaav hai, wo ek ek pankti me aap bhi mehsoos kar payenge.
Table of Contents
Chand Shayari In Hindi For GF (Girl Friend)
“Chand shayari for gf” toh khaas lagti hai ,lekin chand ke saath aur bhi bahut jazbaat hote hai. Rutha Aashiq ne un jazbaato ko bhi iss collection me joda hai. Har drishtikon me umar, dil aur waqt ke hisaab Rutha Aashiq ne apne dil ke ehsaas ko artistically present kiya hai.
” कुछ ज़्यादा ही प्यारा लगने लगा है ये चाँद भी आजकल,
तू भी इसके नीचे है- ये जब मैं सोचता हूँ..
Kuch jyada hi pyaara lagne laga hai ye chand bhi aajkal,
tu bhi iske neeche hai – ye jab main sochta hoon…”
“ऐ चाँद हार ही लेते मोहब्बत में,
ज़िंदगी में एक मोहब्बत की दास्तां तो होती।
Ae chand haar hi lete mohabbat me,
zindgi me ek mohabbat ki daastaan toh hoti…”
“खड़ा है चाँद के नीचे अकेले, लगता है दिलमे बहुत भरा है,
मीठे है बोल उसके,मगर हालातों का मारा है..!
Khada hai chand ke neeche akele, lagta hai dilme bahut bharaa hai..
meethe hai bol uske, magar haalaato ka maara hai…”
“अँधेरी रात में ये चाँद से रात अपनी थी,
सब है मगर- जैसे किसी की याद सताये जा रही है।
Andheri raat e ye chand se raat apni thi,
sab hai magar – jaise kisi ki yaad sataaye jaa rahi hai…”
“फिर ये दिल ज़मीन पे लगेगा कैसे,
मेरा चाँद जो आसमान में बस गया है।।
Fir ye Dilme zameen pe lagega kaise,
Mera chand jo aasmaan me bas gaya hai..”
“मुलाकातें मोहब्बत से हर किसी की होती कहाँ है,
ये चाँद नजाने कितनों की यादें बनकर आता है।।
Mulaakaatein mohabbat se har kisi ki hoti kahaan hai,
ye chand najaane kitno ki yaadein bankar aata hai..”
“शायद तुझे भी याद आता होगा,
मैंने चाँद के नीचे से तुझे कितना पुकारा है।।
Shayad tujhe bhi yaad aata hoga,
Maine chand ke neeche se tujhe kitna pukaara hai…”
“जज़्बातों का साथी कहते है,
ऐ चाँद , मैं तेरे सिवा किस्से जज़्बात कहता ।।
Jazbaato ka saathi kehte hai,
Ae chand, mai tere siva kisae jazbaat kehta”
“उतर गए दिलसे कुछ रिश्ते सामने रहते रहते,
ऐ चाँद , तू वहाँ से किस तरह से मुझसे जुड़ा हुआ है।।
Utar gaye dilse kuch rishte saamne rehte rehte,
Ae chand, tu wahaan se kis tarah se mujhse juda hua hai..”
“समंदर में उभार लानेवाले,
आ चाँद मेरे दिल का सैलाब कैसे संभालू।।।
Samandar me ubhaar laanewale,
aa chand mere dil ka selaab kaise sambhaalu..”
“क्यों चमकता है तू ऐसे अंधेरे में,
ऐ चाँद तुझे देखने का कौनसा नशा हुआ है मुझे।।
Kyon chamakta hai tu ese andhere me,
Ae chand tujhe dekhne ka kaunsa nasha hua hai mujhe…”
“मुझे आज भी याद है,
चाँद पहली बार खूबसूरत कब लगने लगा था।।
अब तो बस चाँद देखते रहता हूँ, बस वही याद करते हुए।।।
Mujhe aaj bhi yaad hai,
Chand pehli baar khusurat kab lagne laga tha…
ab toh bas chand dekhte rehta hoon, bas wahi yaad karte huye…”
“लोग भूल जाते है, फिर चाँद को उस मासूमियत से देखने को,
मैं शायद वो मासूमियत ही नहीं खो पाया।।
log bhul jaate, fir chand ko uss maasoomiyat se dekhne ko,
Main shayad wo maasoomiyat hi nahi kho paaya…”
“chand shayari in hindi for gf” jo hai, wo aapke youngsters wale din ko mehra dengi. Uss waqt me logic nahi hoga, lekin ye sab moments- lifetime memory ban jayengi. “chand par shayari” ke alag alag daur pe ye shabd aapko bhi uss samay relatable mauko ko yaad dila degi. Har mauke se dilse guzarte huye aao jaayenge ye waHi chand aur apke itne gehre jazbaat bhi thehre nahi hai.
Must Read:- Best 25+ Barish Shayari In Hindi
“कभी छत पर जाना , और आसमान को देखते रहना,
चाँद भी पास लगने लगेगा उस बेवफा के आगे।।
Kabhi chat par jaana, aur aasmaan ko dekhte rehna,
chand bhi pass lagne lagega uss bewafa ke aage..”
“ये दूरी शायद इतनी हो भी न, जितनी लगती हैं।।
ये चाँद तक पहुँच गए हम, तू भी कही वही तो है।।
Yeh doori shayad itni ho bhi na, jitni lagti hai..
Yeh chand tak pahuch gaye hum, tu bhi kahi vahi toh hai..”
Chand Shayari For Girl Friend
“chand shayari for girlfriend” ho ya koi aur ehsaas . Akhir me sab guzar jayega. Humein bas humaare zindgi ka waqt hai, hissa hume kaise guzarna hai , wo sochna chahiye.”Chand shayari in hindi for gf” bahut famous hote hai. Rutha Aashiq ne jab apne sab Shero shayari ko dekha toh unhe aur bhi kai jazbaat ka ehsaas hua.
“नए सूरज की तलाश में दिन बिताने के बाद,
सुकून तो पुराने चाँद को ताकने पर ही मिलता है।।
Naye sooraj ki talash me din bitaane ke baad,
sukoon toh pooraane chand ko taakne par hi milta hai…”
“इससे प्यारी बात ज़िन्दगी में होती भी क्या।।
हम चाँद को भी अपना मानने लगे थे।।
Isse pyaari baat zindgi me hoti bhi kya,
hum chand ko bhi apna maanne lage the..”
“अमावस और पूनम की रातों का विज्ञान पढ़ाते रहे,
चाँद से मोहब्ब्त का साहित्य, शायरों के शब्द में पूरा हो नहीं रहा।।
Amaavas aur poonam ki raaton ka vigyaan padhaate rahe,
Chand se mohabbat ka sahitya , shayaro ke shabd me poora ho nahi raha..”
“चाँद के ख्वाब में खोकर ही,
ज़मीन की गहराई में डूबकर ही,
दिलों की बातों में उलझकर ही,
बेवजह पलों में रहकर ही,
ज़िन्दगी ज़िन्दगी बनती है।।
Chand ke khwaab me khokar hi,
zameen ki gehrai me doobkar hi,
dilon ki baaton me ulajhkar hi,
bewajah palon me rehkar hi,
zindgi zidngi banti hai…”
“सुबह गुजर जाती है जोश में,
शाम चाँद के नीचे बिताने की उम्मीद जो रहती है।।
Subah guzar jaati hai josh me,
shaam chaand ke neeche bitaane ki umeed jo rehti hai..”
“पूनम का पूरा चाँद बनकर आना,
मैं शायर सा जज़्बा लिए आऊँगा।।
एक रात आँखों मे आँखोंवाली कर लेना,
दिन दहाड़े तुझे मेरा कर आऊंगा।।
Poonam ka poora chand bankar aana,
main shayar sa jazbaa liye aaunga..
ek raat aankhon me aankhowali kar lena,
din dahaade tujhe mera kar aaunga..”
“ईद के चाँद की तरह मिलने लगे हो,
सच्च बताओ, ये कम झलक देकर खुदको खास जताने क्यों लगे हो??
Eid ke chand ki tarah ilne lage ho,
sach batao, ye ka jhalak dekar khudko khaas jataane kyon lage ho..”
“कुछ बात है इस चाँद की,
आँखें यूँ ही नहींआसमान में उसे खोजने लगती।।
Kuch baat hai iss chand ki,
aankhein yun hi nahi aasmaan me usae khojne lagti …”
” वो प्यार जताने छत पर जाने कहता था,
हरबार यूँ चाँद बदलते हुए उसकी जमीन कैसे नहीं हिली।।
wo pyaar jataane chat par jaane kehta tha,
harbaar yun chand badalte huye uski zameen kaise nahi hili…”
“chand shayari in hindi for gf” ke iss collection me rutha aashiq ka ye collection sachme khaas ban gaya. Ek ek line ko Rutha Aashiq ne dilse jiya hai, isliye ek ek moment fir taaza ho gaya. Kahaani sabki alag hoti hai, lekin jazbaat aur daur ese hi hote hai. “chand par shayari” se aap bhi connect huye honge , ye rutha aashiq ka confidence hai. Dilse jeene walo ke kisse samaan hi hote hain.
Kalakaar ke taur par “chand shayari for gf” ke saath aur bhi shabd hai, wo aap mehsoos karke apne jazbaat pesh karne share karna. Ehsaas ka len den chaalu rahe yahi rutha aashiq ki chaah hai.